pichhli raat ki narm chandni shabnam ki khunki se racha hai yun kahne ko us ka tabassum barq-sifat hai shoala-numa hai waqt ko mah-o-sal ki zanjiron mein jakad kar kya paya hai waqt to mah-o-sal ki zanjiron mein aur bhi tez badha hai ek masum se pyar ka tohfa ghar ke aangan mein paya tha us ko gham ke pagal-pan mein kothe kothe bant diya hai aansu tare rang gulab sabhi pardes chale jate hain aakhir aakhir tanhai hai kis ne kis ka sath diya hai nazm ghazal afsana git ek tarah hi gham tha jis ko hum ne kaisa kaisa nam diya hai kaise kaise bant liya hai aahon ke baadal kyun dil mein bin barse hi laut gae hain ab ke baras sawan ka mahina kaisa pyasa pyasa gaya hai phul si har taswir mein zehn ki diwaron se utar chuka hun phir bhi dil mein kanta sa kyun rah rah kar chubhta rahta hai majburi thi sabr kiya hai panw ko tod ke baith rahe hain nagri nagri dekh chuke hain dware dware jhank liya hai mujh ko un sachchi baaton se apne jhut bahut pyare hain jin sachchi baaton se aksar insanon ka khun baha hai 'badr' tumhaari fikr-e-sukhan par ek allama hans kar bole wo ladka nau-umr parinda uncha udna sikh raha hai