tazad achchha nahin tarz-e-bayan ka hum zabanon mein haqiqat ko chhupata ja raha hun dastanon mein sabhi to aaj bargashta hain azmat-soz pasti se macha rakkhi hai ek halchal zamin ne aasmanon mein samajhta hun main be-mafhum si aawaz shikwe ko musibat khud madad karti hai aa kar imtihanon mein mera aaina-e-ehsas hairan ho nahin sakta yaqin ka nur paida kar hi leta hai gumanon mein bana rakha hai bad-tar az qafas khauf-e-asiri ne siwa tinkon ke ab kya rah gaya hai aashiyanon mein naya ek mabad-e-ummid bhi tamir karna hai anadil moatakif kab tak rahengi gulistanon mein meri nairangiyan chhane lagi hain rang-e-mahfil par bahut kuchh farq 'yaqub' aa chala hai dastanon mein