tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt meri subuk-sari ko hai bar-e-garan se rabt duniya ko hum se kaam na duniya se hum ko kaam khatir se teri rakhte hain sare-jahan se rabt udte hi gard jati hai jo su-e-asman hai kuchh na kuchh zamin ko bhi aasman se rabt izhaar-e-haal ke liye surat sawal hai hai guftugu se kaam na hum ko zaban se rabt chashme ki tarah rahti hain jari mudam ye aankhon ko ho gaya hai jo aab-e-rawan se rabt be-rabtiyon ne 'qadr' mitai jo rabt ki hai gosht ko bhi apne na ab ustukhwan se rabt