zabt kar aah bar bar na kar gham-e-ulfat ko sharmsar na kar jis ko khud apna eatibar na ho aise insan ka eatibar na kar us ke fazl-o-karam pe rakh nazren apne sajdon ka eatibar na kar bagh ujadne ka gham hi kya kam hai jaane bhi de gham-e-bahaar na kar log tujh ko haqir samjhenge had se zaid bhi inkisar na kar waqt se faeda utha lekin waqt ka koi eatibar na kar lutf utha bas nigah-e-awwal se har nazar ko gunahgar na kar jis se fitne bapa hon duniya mein aise ghafil ko hoshiyar na kar 'qadr' ko tu ne di hai jab izzat ai khuda us ko be-waqar na kar