tegh-e-uryan pe tumhaari jo padi meri aankh chashm-e-jauhar se aji khub ladi meri aankh na hati pet par us ke jo padi meri aankh ban gai naf-e-shikam aise adi meri aankh ashk-e-gul rang piroti hai mizha mein kya khub kya banati hai ye phulon ki chhadi meri aankh tum rahe baam pe yan lag gain aankhen chhat se raat ginti rahi har ek kadi meri aankh is khajalat ne abad tak mujhe sone na diya hijr mein lag gai thi ek ghadi meri aankh dur-e-dandan ki bhala aaina kya jaane qadr is ko dikhlao mubassir hai badi meri aankh khat-e-rukhsar nahin pa-e-nigah ke hain nishan aariz-e-saf pe sau bar padi meri aankh yaad aae jo tere tegh ka mala qatil roke paida kare moti ki ladi meri aankh rakhna diwar mein meamar banana kya tha tu ne rauzan ke ewaz kyun na jadi meri aankh zindagi mein to kiya mardum-e-abi mujh ko dekhun ab kya ho mere sath gadi meri aankh zulf ki tarah se zanjir hui jati hai narm padti hai josh-e-junun mein ye kadi meri aankh kya usi ne ye kiya matla-e-abru mauzun tum jo kahte ho sukhan-goi badi meri aankh chashm mein surme ka dumbaala bana kar bole kyun asa tek ke ho jae khadi meri aankh nakhl-e-nargis nahin turbat pe nazare ke liye aaine dekhti hai rah khadi meri aankh nazar aaegi zamin kashti-e-dariya-e-fana dekh lena jo mere sath gadi meri aankh baghban nahr nahin yaad mein ek kuche ki ro rahi hai ye gulistan mein padi meri aankh karte hi ek nigah mein lab-e-nazuk ko kabud kya bana deti hai missi ki dhadi meri aankh aae tera jo tasawwur bhi to bahr-e-tazim kya ajab pa-e-nigah se ho khadi meri aankh dil par-e-dagh hua dafn to lala nikla ugi nargis jo gulistan mein gadi meri aankh yaad aate hain mujhe hazrat-e-'nasikh' jo 'wazir' kya laga deti hai ashkon ki jhadi meri aankh