tere rukh ka kise sauda nahin hai gul-e-lala talak sahra-nashin hai phira hai aap wo mah-ru hamara tera ai aasman shikwa nahin hai kahin aisa na ho utthe na talwar yahi dar hai ki qatil naznin hai na puchho mere aansu tum na puchho kahega koi tum ko khosha-chin hai adab se pa-barahna phirte hain hum junun farsh-e-ilahi ye zamin hai bura sab dushmanon ka chahte hain main khush hun jaise dil andoh-gin hai rahe mazmun-e-gham ki tarah is mein hamara ghar hai ya bait-e-hazin hai jahan hai jalwa-gar wo ghairat-e-mah ilahi aasman hai ya zamin hai banaya tujh ko aisa khubsurat ki nazan tujh pe surat-afrin hai hain ishq-e-zulf mein aaza bhi dushman hamara hath mar-e-astin hai na nikla be tere main ghar se bahar nigah tak chashm mein khalwat-nashin hai falak jo chahe hum par zulm kar le abhi to zabt-e-ah-e-atishin hai pada hai tafraqa be-tabiyon se 'wazir' ab main kahin hun dil kahin hai