tek laga kar baitha hun main jis budhi diwar ke sath khauf hai mujh ko mit na jaun us ke har aasar ke sath ghaza powder mal kar main bhi aa jata hun surkhi mein bik jata hai chehra mera saste se akhbar ke sath kyun na badh kar main pi jaun tere naqli sab tiryak phir tu dhoka kar na pae basti mein bimar ke sath hosh ke nakhun le to sain kyun ye ghaugha dala hai dekh nahin ab lai ye chalti naghma-e-darbar ke sath kis ne tujh ko saunpi bhai sardari is basti ki sab ke sab mahshur ye honge apne apne yar ke sath umr tamami shauq se hum ne ek hi titli pali thi jab jab us ko khwab mein dekha udti hai aghyar ke sath