silsila-dar-silsila juzw-e-ada hona hi tha aakhirash teri nazar ka muddaa hona hi tha ku-ba-ku sahra-ba-sahra ham-safar tha iztirab ek naya mahshar naya ek hadsa hona hi tha das raha tha teri yaadon ka musalsal azhdaha lahza lahza fikr mein ek saneha hona hi tha hath utthe chashm-e-tar thi dil bhi tha mahw-e-fughan hashiya-dar-hashiya harf-e-dua hona hi tha khinch li thi ek lakir-e-na-rasa khud darmiyan fasla-dar-fasla-dar-fasla hona hi tha