tera apna hi qabila to hai taqat teri

tera apna hi qabila to hai taqat teri
aur apne hi qabile se baghawat teri

ek bas jurm-e-mohabbat hi hua hai hum se
ab saza chahe hamein jo de adalat teri

dha ke armanon ka ghar kaun yahan puchhta hai
kitni is ghar mein bata aai thi lagat teri

pyar ki dhup ka mausam teri aankho se gaya
badh gai ab mere khurshid tamazat teri

lahlahate hain mohabbat ke gulistan har su
kitni zarkhez zamin hai mere bhaarat teri

khud hi bimar kare khud hi wo puchhe 'wasiq'
kaun sa rog hai kyon bigdi hai haalat teri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close