simta to main zarra hun bikhra to main sahra hun tham jaun to qatra hun bah jaun to dariya hun kyon tur pe main jaun kyon arsh pe main jaun us ka hi to partaw hun main us ke siwa kya hun kya koi sharik-e-gham hoga mera duniya mein wo arsh pe tanha hai main farsh pe tanha hun suraj se shuaen kab hoti hain juda us se wo nur ka mamba hai main nur ka dariya hun samjhun to agar khud ko ban jaun mah-e-kaamil mana ki falak se main tuta hua tara hun kya koi mujhe samjhe kya koi mujhe jaane bikhra hua jalwa hun simta hua parda hun kyon mujh ko chadhate hain wo dar pe ‘rumani’ main khak ke parde mein us ka hi to jalwa hun