tera bhala ho tu jo samajhta hai mujh ko ghair aankhon pe aankhen rakh to ki kar lun main apni sair khud par hamare jism ki chadar hi dal le bach aap apni dhup se tere badan ki khair kabe ke sare but mere sine mein aa base is aashiqi mein sara haram ho gaya hai dair jina tere baghair nahin aa saka abhi marna to main ne sikh liya hai tere baghair tab dakhila milega tujhe dasht-e-husn mein jab ahl-e-shahr kahne lagen tujh ko ghair ghair 'ehsas-ji' ke halqa-e-ghurbat mein aa raho karni agar ho apne haqiqi watan ki sair