ye koi baat hai sunta na baghban meri kahan asar mein wo dubi hui fughan meri chali hai aaj sunane unhen fughan meri are zarur ye katwaegi zaban meri hili zaban ki bijli hai phir fughan meri khuda kare na qafas mein khule zaban meri wo zulf khol ke sharmaen ghair ke ghar aaj kuchh is ada se shab-e-gham ho mehman meri mujhe ye dar hai na phule phale bahaar mein ye jhuki hui hai bahut shakh-e-ashiyan meri ghazab ka dard qayamat ka hai asar us mein khuda kisi ko na sunwae dastan meri ye dair mein nahin bajte hain khud-bakhud naqus haram mein gunj rahi hai buto azan meri tum apne baam se fariyaad ki ijazat do yahan se to nahin sunta hai aasman meri kisi ke aane ka ab intizar kaun kare pukarti hai mujhe marg-e-na-gahan meri kahe kahe na kahe koi mujh ko kya us se sunen sunen na sunen aap dastan meri wo bole hashr mein khul khelne ko kahte hain sata rahi hain mujhe aaj shokhiyan meri na dast-e-naz mein lo tegh is nazakat se tumhaare bas ki nahin jaan-e-na-tawan meri zaban mein bhi asar hai mere bayan mein bhi sunen na aap mere munh se dastan meri jo bosa wasl mein mangon to den saza mujh ko jo lab hilaun to wo kat len zaban meri main na-tawan bhi gaya aaj baam tak un ke ye zar tha ki mujhe le udi fughan meri sharab main pas-e-tauba jo mangon bhule se to mai-farosh kahe nazr hai dukan meri kuchh ab ki bagh mein is dhum se bahaar aae na baghban ki sunun main na baghban meri jo ye kaha ho meri aai tujh ko aa jae mujhe nasib na ho nind pasban meri payam maut ka hai yaad unhen meri kaisi kuchh aaj aur hi kahti hain hichkiyan meri wo bole abru-o-mizhgan ko kya hua shab-e-wasl dhare rahe yunhi nawak mere kaman meri uthaun afw ki lazzat bhi lutf-e-isyan bhi mere karim ye taqdir hai kahan meri satane wale ko kuchh qadr ho satane ki unhen satae jo mane ye aasman meri wo main hun aaj zamane ko naz hai jis par 'riyaz' dhum hai jis ki wo hai zaban meri