tera bimar aisa na-tawan hai ki tan mein jaan bhi bar-e-garan hai zi-bas hai josh-e-dagh-o-bahr-e-girya samundar aur machhli to aman hai gira dega tuda kar tausan-e-umr yahi tar-e-nafas ki gar inan hai waraq hain rashk-e-auraq-e-gulistan mera diwan ba-rang-e-bostan hai kharidar aa ke le jate hain hasrat meri bazar mein takhta dukan hai raqam karta jo hun wasf-e-sar-e-zulf zaban-e-mar khama ki zaban hai na parwane ko itna bhi jala shama ye koi dam ka tera mehman hai charagh-e-dagh-e-dil goya hai khamosh mere ghar mein ye aahon ka dhuan hai uthun duniya se main diwana kyunkar nafas manind-e-zanjir-e-giran hai suna hai nam par dekha nahin 'arsh' mere nazdik anqa qadr-dan hai