tera chehra dekh ke har shab subh dobara likhti hai barg-e-gul par mauj-e-saba bhi nam tumhaara likhti hai chappa chappa mera mazi jis ke dam se raushan hai apne dil par wo bhi kabhi kya nam tumhaara likhti hai kis ka chehra kis ki aankhen dekh ke kali lambi raat soch mein dubi chupke chupke chand sitara likhti hai be-bas kashti padh leti hai fitrat ki wo bhi tahrir mauj-e-bala jab aab-e-rawan par koi ishaara likhti hai karobar-e-shauq mein ab to haalat ye aa pahunchi hai subh ziyan tahrir kare to sham khasara likhti hai raat ki kali tahriron se tab tak hun mahfuz 'nizam' ek sitara jab tak rukh par subh ka tara likhti hai