tera chup rahna mere zehn mein kya baith gaya itni aawazen tujhe din ki gala baith gaya yun nahin hai ki faqat main hi use chahta hun jo bhi us ped ki chhanw mein gaya baith gaya itna mitha tha wo ghusse bhara lahja mat puchh us ne jis jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin chikhti tum rahi aur mera gala baith gaya us ki marzi wo jise pas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan do qadam jo bhi mere sath chala baith gaya bazm-e-jaanan mein nashisten nahin hotin makhsus jo bhi ek bar jahan baith gaya baith gaya