tera firaq bhi qurbat bhi ek masala hai hamare sath mohabbat bhi ek masala hai tumhaare shahr mein dakhil hue to yaad aaya tumhaare shahr se hijrat bhi ek masala hai tumhaare shahr mein aa kar rahe to hum pe khula hamari ganw se nisbat bhi ek masala hai hamein kisi ne bataya tha hath malte hue zar-o-zamin bhi aurat bhi ek masala hai adam wajud ki chahat to masala hai magar adam wajud se nafrat bhi ek masala hai hamare ganw ki mitti mein khwab ugte hain hamare ganw mein ghurbat bhi ek masala hai khayal-o-khwab ki bebakiyon ke pesh-e-nazar khayal-o-khwab mein khalwat bhi ek masala hai tumhein hamare liye waqt hi nahin milta hamare waste fursat bhi ek masala hai