aankh jo bhi teri aankhon se mila baithta hai qais ke halqa-e-ahbab mein ja baithta hai mustaqil kaise rahe jism ke khitte ka nizam hukmran roz mere dil mein naya baithta hai ek taraf dil hai tera ek taraf mera makan dekhna ye hai ki sailab mein kya baithta hai dar-e-duniya meri peshani ko chaukhat na dikha ye wo masnad hai jahan sirf khuda baithta hai dhup ke waqt shajar god mein leta hai mujhe raat ho jae to pahre pe diya baithta hai dil mohabbat mein izafe ki talab karte hue dusre ishq mein pahla bhi ganwa baithta hai ye bhi thukraya hua lagta hai tere dar ka main jahan baithta hun ranj bhi aa baithta hai