tera firaq muqaddar samajh liya hum ne ab apne-ap ko patthar samajh liya hum ne tumhaari yaad ke palkon pe ashk raushan the andheri shab ko munawwar samajh liya hum ne ye khud-farebi nahin hai to aur kya kahiye har ek sae ko paikar samajh liya hum ne sipurd kar diye sare huquq rahzan ko ye kis zalil ko rahbar samajh liya hum ne tamam jism thakawat se chur chur hua tab is zamin ko bistar samajh liya hum ne hamari bhul thi qad mein bahut jo chhote the unhen bhi qad ke barabar samajh liya hum ne wo jis ne jaan aziyyat mein dal di 'mashkur' use hi jaan se badh kar samajh liya hum ne