aankh hai ek katora pani ka aur ye hasil hai zindagani ka raegan kar gaya mujhe aakhir khauf aisa tha raegani ka chal nikalta hai silsila aksar khush-gumani se bad-gumani ka dard bota hun zakhm khilte hain hai bahut shauq bagh-bani ka kya thikana gham-o-khushi ka ho dil ilaqa hai la-makani ka ja ke dariya mein phenk aaya hun ye kya hai teri nishani ka jis ka anjam hi nahin koi main hun kirdar us kahani ka muddaa nazm ho nahin paya sher dhoka hai tarjumani ka