tera gham hai to ye jazbon ki rau mein bah nahin sakta kisi ke haq mein mera dil ghalat kuchh kah nahin sakta hawa achchhi hai us ki aur na pani us ka achchha hai main is shahr-e-munafiq mein to ek din rah nahin sakta ye shahr-e-dil nahin basti hai ye fatwa faroshon ki yahan apne khuda ko main khuda bhi kah nahin sakta zamin suraj ke chaaron-samt gardish ab bhi karti hai ye sach hai phir bhi main apni zaban se kah nahin sakta palat kar ik-na-ik din apni fitrat par wo aaega wo kat kar apne mehwar se hamesha rah nahin sakta main insan hun meri fitrat zamini hai miyan-'najmi' bahut din tak sar-e-baam-e-falak main rah nahin sakta