ye sari baaten chahat ki yun hi karta rahunga

ye sari baaten chahat ki yun hi karta rahunga
mohabbat mein magar kuchh kuchh kami karta rahunga

meri nazron mein hai jughrafiya us ke badan ka
tasawwur bandh lunga shairi karta rahunga

milega jab talak mujh ko na wo jaan-e-tamanna
main sab kaamon ko apne multawi karta rahunga

milun jis se khafa do din mein kar deta hun us ko
main aakhir ta-kuja ye ablahi karta rahunga

tu apna dil na chhota kar lahu hai tan mein jab tak
main roz-o-shab teri kheti hari karta rahunga

koi aae na kholunga main ab darwaza-e-dil
sununga dastaken aur an-suni karta rahunga

junun mein kar ke kuchh us ko dikhana bhi to hoga
main kab tak us se wade kaghzi karta rahunga

ba-juz kar-e-hunar main kar bhi kya sakta hun 'najmi'
yahi karta raha hun aur yahi karta rahunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close