tera jalwa sham-o-sahar dekhte hain saliqe se shams-o-qamar dekhte hain pahunchna hai dil tak nazar dekhte hain kidhar dekhna tha kidhar dekhte hain mohabbat ka un par asar dikhte hain mila kar nazar se nazar dekhte hain tujhe dekhne wale yun to bahut hain magar hum ba-rang-e-digar dekhte hain jo hain nukta-chin wo karen nukta-chini jo ahl-e-hunar hain hunar dekhte hain abhi tak to ji hum ne khoya nahin hai abhi zabt-e-gham ka asar dekhte hain unhen meri 'farhat' khabar ho to kyunkar jo akhbar padh kar khabar dekhte hain