wasl ke lamhe kahani ho gae shab ke moti subh pani ho gae rafta rafta zindagani ho gae gham ke lamhe jawedani ho gae daulat-e-ahd-e-jawani ho gae chand lamhe jo kahani ho gae kaisi kuchh ranginiyan thin jin se hum mahw-e-sair-e-dahr-e-fani ho gae sukh bhare dukh dukh bhare sukh sab ke sab waqiat-e-zindagani ho gae muskurae aap jaane kis liye hum rahin-e-shadmani ho gae baaton hi baaton mein raaten ud gain hae wo din bhi kahani ho gae tum ne kuchh dekha khulus-e-jazb-e-shauq sang-reze gul ke pani ho gae 'farhat' aisi but-parasti ke nisar but bhi mahw-e-lan-tarani ho gae