tera khayal agar juzw-e-zindagi na rahe jahan mein mere liye koi dilkashi na rahe main aa gaya hun wahan tak teri tamanna mein jahan se koi bhi imkan-e-wapsi na rahe tu thik kahta hai ai dost thik kahta hai ki hum hi qabil-e-tajdid-e-dosti na rahe huzur yaad hai maidan-e-hashr ka wada kahin wahan bhi meri aankh dhundhti na rahe mera to khair azal hi se gham muqaddar hai teri nigah ki pahchan be-rukhi na rahe tu is tarah se lipat ja charagh ki lau se ki baad-e-marg yahan teri rakh bhi na rahe kisi ke hijr ka mausam azab hai 'ghazni' kabhi kabhi to main kahta hun zindagi na rahe