udhar jo shakhs bhi aaya use jawab hua koi nahin jo mohabbat mein kaamyab hua wo khush-nasib hain jin ko khuda ki zat mili hamein ek aadmi mushkil se dastiyab hua bil-akhir aag dhuan ho gai mohabbat ki kisi ke sath jo dekha tha khwab khwab hua tumhaare samne kis ko majal bolne ki tumhaare samne har shakhs la-jawab hua hamare samne bachche zaban-daraaz hue hamare samne zarra bhi aaftab hua mere asason mein khwab aur hasraten niklin 'kabir' ishq mein mera bhi ehtisab hua 'kabir' ho gae barbaad hum ko hona tha tumhein ye puchhe koi tum ko kya sawab hua