tera khayal sar-e-sham gham sanwarta hua bahut qarib se guzra salam karta hua jhijak raha tha wo mujh se nazar milate hue ki main bhi tha isi khake mein rang bharta hua main gharq hone hi wala tha jab to ek tinka bhanwar se mujh ko dikhai diya ubharta hua mila wo panch sitaron ki raqs-gahon mein zamane bhar se pasheman khud se darta hua masafaten hain bahut aur sakht rahon se guzar gaya hai wo mujh ko talash karta hua raqam hua nahin ab tak nisab-e-ham-safri wo qafila bhi mila jab to kuch karta hua ajab tilism-e-safar hai ki sham-e-maqtal tak pahunch gaya hun main har mod par thaharta hua kinara tha mere dariya se kat gaya wo shakhs ki main tha waqt ki sarhad ko par karta hua