tera khayal tha ki yunhi bad-guman the apne bhi kuchh usul magar darmiyan the shakhen har ek raat yunhi chikhti rahin wo phul hi bike the jo zeb-e-dukan the us ne azal se bhinch ke rakkhi thi mutthiyan hathon ki har lakir ke hum tarjuman the sochon ki mauj mauj baha le gai unhen sanson ki garm ret pe jin ke makan the poras ke hathiyon ke sabhi gol kat gae jazbe mere khulus ke raushan chatan the jaane wo chor aa ke kidhar mud gaya 'bahaar' dahliz tak to panw ke wazeh nishan the