habs-e-darun pe jism-e-giran-bar sang tha wahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha kuchh dur tak sahab-e-rifaqat raha rafiq phir ehtamam-e-barish-e-tir-o-tafang tha sahmi hui faza-e-ghazalan ke ru-ba-ru jangal tha qahqahe the khuda tha main dang tha ab shahr-e-justuju mein tere baad kuchh nahin aabaadi-e-badan mein jo dil tha malang tha ji ye kare hai aaj ki tanha jien maren kab mere iztirab ka ye rang-dhang tha har sham muzmahil si sawera bujha bujha tujh se pare jo dekha yahi ek rang tha