tera kushta uthaya aqraba ne chale mahshar ko mitti mein dabane nafas gum aur sukhan baqi rahega na hoga tar aur honge tarane khuda thanda rakhe ai shama tujh ko khadi roti hai bekas ke sirhane tere chalne se sine mein zamin ke utha ek dard mahshar ke bahane hamin ne panja-e-dast-e-junun se kiye hain koh ki choti mein shane