itna to jaante hain ki aashiq fana hua aur us se aage badh ke khuda jaane kya hua shan-e-karam thi ye bhi agar wo juda hua kya mehnat-e-talab mein na hasil maza hua main aur ku-e-ishq mere aur ye nasib zauq-e-fana khizar ki tarah rahnuma hua pahchanta wo ab nahin dushman ko dost se kis qaid se asir-e-mohabbat riha hua shayan-e-darguzar hai agar iztirar mein jurm-e-daraaz-dasti-e-zauq-e-dua hua kya kya na us ne pure kiye muddaa-e-dil lekin pasand use dil-e-be-muddaa hua us ka pata kisi se na puchho badhe chalo fitna kisi gali mein to hoga utha hua gul-ruyon ke khayal ne gulshan bana diya sina kabhi madina kabhi karbala hua pechida thi jo sar mein hawa-e-raza-e-dost 'asi' murid-e-silsila-e-murtaza hua