tera lahja teri pahchan mubarak ho tujhe teri wahshat tera haijaan mubarak ho tujhe main mohabbat ka pujari hun so main jata hun yani nafrat ka ye saman mubarak ho tujhe aankh mein tanz-o-raunat ki chamak baqi rahe lab pe ye talkh si muskan mubarak ho tujhe main dua karta hun tu shahr-e-charaghan mein rahe tera har khwab-e-gulistan mubarak ho tujhe tu hukumat ka hai shauqin tera banta hai bebasi shahr ki sultan mubarak ho tujhe main to mar kar bhi meri jaan bacha lunga use tujh mein marta hua insan mubarak ho tujhe ja raha hun main tere shahr se yaaden le kar mere dilbar tera multan mubarak ho tujhe ye bichhadna hi agar hal hai to ranjish kaisi jao na jao meri jaan mubarak ho tujhe