us ki aankhon pe man tha hi nahin khwab the khwab-dan tha hi nahin main taaqub mein chal pada jis ke dhul thi karwan tha hi nahin do zamin-zad jis mein rah sakte is qadar aasman tha hi nahin gir pada hun to raste ne kaha tera mujh par to dhyan tha hi nahin ek khwahish thi do dilon ke bich aur kuchh darmiyan tha hi nahin hum ne phulon se khub baaten kin bagh mein baghban tha hi nahin us ne chaha ki jaana jaun main us se pahle jahan tha hi nahin umr us mein guzar di 'mumtaz' wo jo mera makan tha hi nahin