tera lutf aatish-e-shauq ko had-e-zindagi se badha na de kahin bujh na jae charagh hi use dekh itni hawa na de tera gham hai daulat-e-dil teri use aansuon mein luta na de wahi aah naqd-e-hayat hai jise lab pe la ke ganwa na de meri zindagi ki haqiqaton ko na punchh aur main kya kahun mera dost aaj wahi hai jo mujhe zindagi ki dua na de yahi zindagi ne sabaq diya ki kabhi fareb-e-karam na kha ye umid rakh na kisi se tu ki mita sake to mita na de mujh gham hi de na khushi sahi na karam sahi to sitam sahi magar itna kam bhi karam na ho ki tera sitam bhi maza na de mere dil ki khud ye majal thi ki wo sham-e-gham ko sahar kare teri yaad aa ke ghadi ghadi agar aansuon ko hansa na de tere dil pe haq hai jahan ka bhi ye farar-e-ishq rawa nahin gham-dost khub hai jab talak gham-e-zindagi ko bhula na de wo khuda-e-husn hi kyun na ho koi shai hai ghairat-e-ishq bhi jo teri sada pe khule na dar wo khule bhi jab to sada na de mere dushmanon ke labon pe thi jo hansi wo 'mulla' ab ud chali unhen dar hai ab yahi gham mera meri zindagi ko bana na de