tera mahbub tera pyar koi aur hai na

tera mahbub tera pyar koi aur hai na
ab tera yar mere yar koi aur hai na

kis tarah aap ye be-parda chale aae hain
aap ki did ka haqdar koi aur hai na

teri aankhon se ye gauhar jo nikal aata hai
is ke aane ka sabab zar koi aur hai na

main ne dekha hai teri aankh mein ye bhi hamdam
tere dil mein hai jo asrar koi aur hai na

khwa-makhwah tere hi chakkar mein pada hai ye dil
husn ka tere parastar koi aur hai na

dil-e-nadan ko ye samjha de 'hira' khud hi tu
tere afsane ka kirdar koi aur hai na


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close