saya na jis ka aaya kabhi mere aas-pas

saya na jis ka aaya kabhi mere aas-pas
rahne laga hai aaj wahi mere aas-pas

milta nahin hai mujh ko khushi ka koi suragh
phaili hui hai sirf ghami mere aas-pas

jis ne diya hai mujh ko har ek mod par fareb
wo yar phir raha hai abhi mere aas-pas

tu jo bichhad gaya hai to ye zindagi meri
bikhri padi hai tuti hui mere aas-pas

aae na koi dil ke nihan-khane mein mere
ranj-o-alam bahut hain abhi mere aas-pas

shayad kisi ki lag gai 'adil-hira’ nazar
rahti nahin hai koi khushi mere aas-pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close