tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha

tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha
aankhon ko warna jalwa-e-jaanan kahan na tha

aalam-e-juz-e'tibar-e-nihan-o-ayan na tha
yani ki tu ayan na hua aur nihan na tha

ab tak teri gali mein ye ruswaiyan na thin
ab tak to is zamin pe koi aasman na tha

kya din the jab maal-e-wafa ki khabar na thi
wo din bhi the ki haal-e-wafa dastan na tha

talqin-e-sabr dil se to koi dushmani na thi
dekha ye haal qabil-e-sharh-o-bayan na tha

mafhum-e-kaenat tumhaare siwa nahin
tum chhup gae nazar se to sara jahan na tha

har shakh har shajar se na tha bijliyon ko lag
har shakh har shajar pe mera aashiyan na tha

aaghosh-e-maut mein tah-e-daman-e-yar hun
wo din gae ki mujh pe koi mehrban na tha

aazurda tha ki zabt-e-fughan mein asar nahin
sharminda hun ki zabt-e-fughan raegan na tha

ho bhi chuke the dam-e-mohabbat mein hum asir
aalam abhi ba-qaid-e-zaman-o-makan na tha

allah re be-niyazi-e-adab-e-iltifat
dekha mujhe to pae nazar darmiyan na tha

mere dil-e-ghuyur ka husn-e-talab to dekh
goya zaban pe harf-e-tamanna giran na tha

tu ne karam kiya to ba-unwan-e-ranj-e-zist
gham bhi mujhe diya to gham-e-jawedan na tha

'fani' fusun-e-maut ki tasir dekhna
thahra wo dil ki jis pe sukun ka guman na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close