tera nishana hun main tir ban ke mujh mein aa

tera nishana hun main tir ban ke mujh mein aa
main ek frame hun taswir ban ke mujh mein aa

bahut dinon se khushi ki talash mein hun main
tu koi hadisa dil-gir ban ke mujh mein aa

main koshishen to agar chahun kar hi sakta hun
meri tamanna hai taqdir ban ke mujh mein aa

mera darun bhi phenka hua hai yusuf sa
kisi taraf se koi 'ir ban ke mujh mein aa

guzishta ahd mein ruman likh chuka hun bahut
tu raqs chhod de zanjir ban ke mujh mein aa

main ishq-khel ki shaklen badalne wala hun
shikari ab ke tu nakhchir ban ke mujh mein aa

jawan kar isi punjab ki riwayat ko
chanab chadhta hai to hir ban ke mujh mein aa

saqil lafzon mein likhta hun main ghazal aksar
main 'sauda' banta hun tu 'mir' ban ke mujh mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close