thoDi hairan thi ghabrai thi sharmai bahut

thodi hairan thi ghabrai thi sharmai bahut
hasrat-e-did bujhi bujh ke bhi tadpai bahut

tum se aabaad ye aangan tha mere purkhon ka
suni suni mujhe lagti hai ab angnai bahut

ped jitne the sabhi kat diye the hum ne
barishen rukte hi in pedon ki yaad aai bahut

kal ufuq par na sitare the na mahtab na rang
thi takhayyul ke bhi bazar mein mahngai bahut

ek sanobar tha wahan nim wahan sarw wahan
meri mitti mein zara pahle thi yakjai bahut

tu agar mujh se khafa ho ke gaya to kya gham
tujh se pahle bhi nazar aae hain harjai bahut

qais mashhur hua ishq mein wahdat rakh kar
warna the husn ke is duniya mein saudai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close