tera qusur nahin dost bewafa hona mere nasib mein likkha tha gham-zada hona ajab nahin hai kahin koi hadisa hona zamana chahta hai kuchh na kuchh naya hona teri khamoshi bhi mujh ko aziz hai lekin tu dekh meri mohabbat ki intiha hona wo chahta hi nahin bewafa zamane mein mere labon pe kisi taur iltija hona dhadak raha hai mere dil mein wo hamesha se use qubul nahin mera dewta hona charagh-e-ishq bujha hai na bujh sakega kabhi zamane dekh hawa ka teri hawa hona ye fasle ki alamat hai darmiyan apne jo baat baat pe ho jae faisla hona nazar nazar pe lage hain fareb ke parde bahut zaruri hai chehre ka aaina hona badalte daur mein ab to bahut hi mushkil hai 'zahin' dil ka kisi dil se aashna hona