sukun-e-qalb hai dhaDkan ki intiha hai ghazal

sukun-e-qalb hai dhadkan ki intiha hai ghazal
waqar-e-zist hai sanson ka silsila hai ghazal

kali ki nazuki phulon ki har ada hai ghazal
dulhan ki sharm-o-haya surkhi-e-hina hai ghazal

zamane bhar ki to har shai se aashna hai ghazal
tamam lafz tere dil ka aaina hai ghazal

kabhi machalte labon ki si nazuki to kabhi
dahakti ret pe thahri hui nawa hai ghazal

nai hayat ke pahlu ko dastaken deti
libas-e-ruh mein utri hui sada hai ghazal

andheri raat mein ummid ki kiran jaisi
kisi gharib ki khushiyon ki ibtida hai ghazal

nigar-e-husn hai ye husn-e-kaenat bhi hai
isi liye to hamesha se khushnuma hai ghazal

dupatta khinch liya us ka jis ne jab chaha
sukhan ki laj hai phir bhi to be-rida hai ghazal

'zahin' is ka asar be-asar nahin hota
kisi faqir ki mangi hui dua hai ghazal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close