tera rang-e-basirat hu-ba-hu mujh sa nikal aaya tujhe main kya samajhta tha magar tu kya nikal aaya zara sa kaam padte hi mizaj ek khak-zade ka qad-o-qamat main gardun se bhi kuchh uncha nikal aaya zar-e-khushbu khanakta rah gaya dast-e-gul-e-tar mein dil-e-sada kharidar-e-dil-e-sada nikal aaya ajab ek moajaza is daur mein dekha ki pahlu se yad-e-baiza nikalta tha magar kasa nikal aaya kahani jab bhi dohrai pas-e-har-abla-pai wahi mahmil wahi majnun wahi sahra nikal aaya 'najib' ek wahm tha do chaar din ka sath hai lekin tere gham se to sari umr ka rishta nikal aaya