tera ruKH-e-muKHattat quran hai hamara

tera rukh-e-mukhattat quran hai hamara
bosa bhi len to kya hai iman hai hamara

gar hai ye be-qarari to rah chuka baghal mein
do roz dil hamara mehman hai hamara

hain is kharab dil se mashhur shahr-e-khuban
is sari basti mein ghar viran hai hamara

mushkil bahut hai hum sa phir koi hath aana
yun marna to pyare aasan hai hamara

idris o khizr o isa qatil se hum chhudae
un khun-giraftagan par ehsan hai hamara

hum we hain sun rakho tum mar jaen ruk ke yakja
kya kucha kucha phirna unwan hai hamara

hain said-gah ke meri sayyaad kya na dhadke
kahte hain said jo hai be-jaan hai hamara

karte hain baaten kis kis hangame ki ye zahid
diwan-e-hashr goya diwan hai hamara

khurshid-ru ka partaw aankhon mein roz haiga
yani ki sharq-ruya dalan hai hamara

mahiyyat-e-do-alam khati phire hai ghote
yak qatra khun ye dil tufan hai hamara

nale mein apne har shab aate hain hum bhi pinhan
ghafil teri gali mein mindan hai hamara

kya khandan ka apne tujh se kahen taqaddus
ruhul-qudus ek adna darban hai hamara

karta hai kaam wo dil jo aql mein na aawe
ghar ka mushir kitna nadan hai hamara

ji ja na aah zalim tera hi to hai sab kuchh
kis munh se phir kahen ji qurban hai hamara

banjar zamin dil ki hai 'mir' milk apni
pur-dagh sina mohr-e-farman hai hamara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close