tegh-e-sitam se us ki mera sar juda hua shukr khuda ki haq mohabbat ada hua qasid ko de ke khat nahin kuchh bhejna zarur jata hai ab to ji hi hamara chala hua wo to nahin ki ashk thame hi na aankh se nikle hai koi lakht-e-dil ab sau jala hua hairan rang bagh-e-jahan tha bahut ruka taswir ki kali ki tarah dil na wa hua aalam ki be-fizai se tang aa gae the hum jaga se dil gaya jo hamara baja hua dar pe hamare ji ke hua ghair ke liye anjam-e-kar muddai ka muddaa hua us ke gae pe dil ki kharabi na pochhiye jaise kaso ka koi nagar ho luta hua bad-tar hai zist marg se hijran-e-yar mein bimar dil bhala na hua to bhala hua kahta tha 'mir' haal to jab tak to tha bhala kuchh zabt karte karte tera haal kya hua