tera shewa hai idhar dekh masihai kar zakhm phir khulne lage thik se turpai kar main tujhe dekh nahin sakta ye baat aur magar ek jhalak hi sahi zaea meri binai kar teri nisbat se wo ab meri qayaadat mein hai main ne majnun se kaha bhi tha ki aguwai kar main na kahta tha nigahen na mila dil na ganwa ab jo ho pae to nuqsan ki bharpai kar qaisiyat sang ki barsat mein nahlati hai zeb hai tujh ko meri jaan tu lailai kar aur main aql ke tabe nahin rah sakta ab aa mere sar mein sama ja mujhe saudai kar yusuf-e-misr ka khaliq bhi milega tujh ko khud mein paida zara andaz-e-zulekhai kar tu bhi hans de kabhi majzub ke pahnawe par tu bhi khud ko kisi din mera tamashai kar teri furqat meri shadabi ko kha jaegi mujh ko hargiz na asir-e-gham-e-tanhai kar