samaaten use apnaen ye to tai bhi nahin mere kalam mein tum jaisi koi lai bhi nahin tu aab hai jise mil jae us ko jiwan de main ek sang hun mera kahin wilai bhi nahin kisi maqam pe jibril bhi thithakte hain aur ek hum hain ki hum ko kisi ka bhay bhi nahin azal se tegh-ba-kaf lad rahi hain do samten ek aisi jang ke jis mein koi wijay bhi nahin kisi ki rah mein baithe hue ye sochte hain hamare pas kisi ke liye samay bhi nahin main us ko khone ki himmat nahin juta sakta wo ek shai meri taqdir mein jo hai bhi nahin