tera wada tha wada rah gaya hai hamara sabr takta rah gaya hai wahi hai dard aankhon mein abhi tak jo tujh se ishq aadha rah gaya hai mere wo zakhm sare bhar gae the magar dil phir bhi tuta rah gaya hai adhure khwab sare mit gae hain tumhaara nam likkha rah gaya hai rawana kab se gadi ho gai hai hamara hath hilta rah gaya hai musawwir thik hai taswir sari mera chehra kyun sada rah gaya hai ghazal 'iqra' mukammal ho chuki hai magar sar hai ki dukhta rah gaya hai