tum se wabasta hai meri maut meri zindagi jism se apne kabhi saya juda hota nahin is tarah fariyaad karne ko kaleja chahiye ab koi gulshan mein mera ham-nawa hota nahin wo mohabbat-afrin deta hai hasb-e-zarf-e-ishq phir kisi se bhi talab-gar-e-wafa hota nahin ek takhayyul hai ki jis mein mahw hai mera dimagh ek tasawwur ye jo aankhon se juda hota nahin sai-e-fahm-e-zat-e-bari aur ye mahdud aql jis ka hasil kuchh bhi hairat ke siwa hota nahin ashraf-ul-makhluq kahte hain usi majbur ko jis ka koi kaam be-dast-e-dua hota nahin jitne arman dil mein the 'makhmur' sab maujud hain ek bhi to apne markaz se juda hota nahin