tere aalam ka yar kya kahna har taraf hai pukar kya kahna uff na ki dard-e-hijr zabt kiya ai dil-e-be-qarar kya kahna wada-e-wasl un se lun kyun-kar mera kya ikhtiyar kya kahna kya hi nairangiyan dikhai hain mere bagh-o-bahaar kya kahna kaise aashiq hain un se jab puchha bole be-ikhtiyar kya kahna musht par bhi gulon ke gard rahe aafrin ai hazar kya kahna tirchhi nazren chhuri katari hain chashm-e-bad-dur yar kya kahna gulshanon mein ye rang-rup kaha la-jawab ai nigar kya kahna dam-e-isa ko mat karti hai ai nasim-e-bahaar kya kahna imtihan kar chuke to wo bole ai mere jaan-nisar kya kahna us ke kuche mein baith kar na utha wah mere ghubar kya kahna jaante hain ki jaan doge 'sharaf' us ko phir bar bar kya kahna