kuchh is tarah se tasawwur mein aa raha hai koi charagh ruh mein jaise jala raha hai koi koi kalim uthe warna intizar ke baad charagh-e-tur-e-mohabbat bujha raha hai koi wo dair ka tha ki kabe ka ye nahin malum meri khudi ka muhafiz khuda raha hai koi jo rokna ho to aa badh ke rok le warna tere hudud-e-taghaful se ja raha hai koi rawan-dawan nahin be-wajh karwan-e-hayat mujhe zarur kahin se bula raha hai koi badal rahe hain jujun-o-khirad ke paimane kis ehtimam-e-taghayyur se aa raha hai koi na kuchh malal-e-asiri na khatra-e-sayyaad qafas samajh ke nasheman bana raha hai koi zamin-o-charkh ne inkar kar diya jis se wo bar dosh-e-wafa par utha raha hai koi jahan-e-nau mein ba-rang-e-kashakash-e-paiham hayat-e-nau ke saliqe sikha raha hai koi khabar karo ye haqaeq ke pasbanon ko majaz kho ke haqiqat mein aa raha hai koi na jaane kaun si manzil mein ishq hai ki mujhe mere hudud se bahar bula raha hai koi daro khuda se bada bol bolne walo qarib hum se bhi be-intiha raha hai koi mujhe sitam mein izafe ka gham nahin lekin yaqin kar ki mere baad aa raha hai koi nigah-o-lab mein hansi ki sakat nahin lekin ba-jabr-e-ishq-o-wafa muskura raha hai koi ye subh-o-sham ki yurish ye mausamon ki rawish ki jaise mere taaqub mein aa raha hai koi kisi ko is ki khabar hi nahin thi kuchh 'ehsan' ki mit ke apna zamana bana raha hai koi