tere aane ka charcha ho raha hai na-jaane kab se aisa ho raha hai simat jaunga main lamhon mein ek din mera har khwab pura ho raha hai samundar mein gira hai chand aise ki sahil tak ujala ho raha hai kisi khamosh darwaze ke pichhe mujhe malum hai kya ho raha hai nae pardon mein sab chehre purane badalne ka tamasha ho raha hai qayamat kya karegi is zamin par qayamat se ziyaada ho raha hai samundar se hamari dosti hai so pani par guzara ho raha hai